Sunday 13 March 2016

Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta

Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta
Kisi bhi aine mein der tak chehra nahin rahta

Bade logon se milne mein hamesha fasila rakhna
Jahan darya samandar se mila darya nahin rahta

Hazaron sher mere so gaye kaghaz ki qabron mein
Ajab maan hun koi bachcha mera zinda nahin rahta

Mohabbat eik khushboo hai hamesha saath chalti hai
Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahin rahta

Tumhara shehr to bilkul naye andaz wala hai
Hamare shehr mein bhi koi hamsa nahin rahta

No comments:

Post a Comment