Tuesday 26 April 2016

Kareeb Mout Khari Hai Zara Theher Jao

Kareeb Mout Khari Hai Zara Theher Jao
QaZa Se Aankh Lari Hai Zara Theher Jawo

Thaki Thaki C FiZaYen BuJhe BuJhe Tare
Bari Udaas Ghari Hai Zara Theher Jao

Naheen Umeed Ke Ham AaJ Ki Seher DeKhen
Yeh Raat Ham Per Kari Hai Zara Theher Jao

Abhi Na Jao Ke Taroon Ka Dil Dharakta Hai
Tamaam Raat Parri Hay Zara Theher Jao

Phir Iske Baad Kabhi Hum Tum Ko Na Roken Ge
Labon Pe Saans Ari Hay Zara Theher Jao

Dam-e-Firaq Mein Ji Bhar K Tumko Dek To Lon
Yeh FaiSley Ki Gharri Hai Zara Theher Jao

Na khuf e Barq Na Khauf e Sharar Lage Hay Mujhe

Na khuf-e-Barq na khauf-e-sharar lage hay mujhe
Khud apne baagh k phoolon se dar lage hay mujhe

Ajeeb dard kaa rishtaa hay saari duniyaa main
Kaheen ho jalta makaan apna ghar lage hay mujhe

Main eik jaam hon kis kis ke hount tak phunchoon
Ghaz'zab ki piyaas liye har bashar lagey hay mujhe

Taraash letaa hoon uss sey bhi Aayinaa 'Manzoor'
Kissi Key Haath Kaa Pat'thar Agar lagey hay mujhe

Chupaye Dil Mein Gamon Ka Jahaan Baithe Hain

Chupaye dil mein Gamon ka jahaan baithe hain
Tumhari bazm mein ham bezabaan baiThe hain

Ye aur baat ki manzil pe ham pahuNch na sake
Magar ye kam hai ke rahon ko chaan baithe hain

Fugaan hai dard hai soz-o-firaaq- o-daag-e- alam
Abhii to ghar mein bahut meharabaan baithe hain

Ab aur gardish-e-taqadeer kyaa sataayegi
Lutta ke ishq mein naam-o-nishaan baithe hain

Wo ek lafz-e-mohabbat hi dil ka dushman hai
Jissey shariat-e-ehasaas maan baithey hain

Hay maikadoon ki bahaaroon se dosti 'Saagar'
Baraye had-e-yaqeen- o-gumaan baithe hain

Jab Pyaar Nahi Hai Tu Bhulaa Kiyon Nahi Detey

Jab pyaar nahi hai tu bhulaa kiyon nahi detey
Khat kis liye rakhey hain jalaa kiyon nahi detey

Kiss waastey likhaa hay hateli pe meraa naam
Main harf-e-ghalat hon tu mita kiyon nahi detey

Lil-laah iss shab -o- Rooz ki uljhan sey nikaalo
Tum merey nahi ho to bataa kiyon nahi detey

Reh reh ke na tadpaawo ae be-dard maseeha
Haathoon se mujhe zeher pila kiyon nahi detey

Jab is ki wafawoon pe yaqeen tum ko nahi hai
Hassrat ko Nig'gaahoon sey Giraa kiyon detey

Raaton Main Gar Na Ashk Bahawoon Tu Kia Karon

Raaton main gar na ashk bahawoon tu kia karon
Aik pal Bhi Uss Ko Bhool na Paawoon tu kia karon

Main ne Sunaa Hay unn ko andherey nahi pasand
Raahon Main ab main dil na jalawoon tu kia karon

Tum Hi Kaho ke Chorrh De jab zindagi bhi saath
Phir Moat ko Galey Naa Lagaawoon tu kia karon

Socha Tu Tha ke Chorrh Doon uss ki gali MURAD
Lekin Qaheen Qaraar Naa Paawoon Tu kiya karon

Monday 25 April 2016

Unn Ko Tasavooraat Mein Aaney Nahi Diya

Unn ko Tasavooraat mein Aaney nahi diya
Haalaat Ney Yeh lut'uf uthaaney nahi diya

Gham Mere sath sath bahut door tak gaye
Shikwa magar zabaan pey Aaney nahi diya

Dastaar Gir Gayi to Girey sar to bach gaya
Kuch behisso ko Zarf Khudaa ney nahi diya

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala
Aankhon ko phir bhi Ashk Bahane nahi diya

Majbooriyon ne pawon mein zanjeer daal di
Ham ne khuoshi sey aap ko jaane nahi diya

Main Khud Hi Apni Rah Ka Pathar bana raha
Aissaa nahee ke Saath Dua'a Ney Nahi diya

'Shahid' Meri Saada Dilli ney Khabhi Mujhey
Aayienaa doostoon Ko dikhaaney nahi diya

Har Yaad Ko Yun Zakham Banatay Nahin Dil Ka

Har yaad ko yun zakham banatay nahin dil ka
Har Teer ko paivest rug-ge-jaan nahin kertay

Yeh Maslaa Ab ahal-e-mohabbat ka hai apna
Merte hain to kuch aap pe ehsan nahin kerte

Khat layain na layain tera hum naama bron ko
Bus daikhte rehtey hain paraishan nahin karte

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pe gulo ko
Itnaa bhi to qaatil ko pashaimaan nahin kartay

Kub shamain jalaata hai shab-e-mah main koyi
tu ayai to ham ghar main charaghan nahin karte

Loogon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka
Hum dil ki tarah chaak-e-garaibaan nahin kerte

Hum tu chale aatay hain yaaro dar-e-janan
Ghaalib ki tarah minnat-e-darbaan nahin kertay

Hairatoon Ke Silsiley Souz E Nihaan Tak Aa Gaye

Hairatoon ke sil-siley souz-e-nihaan tak aa gaye.
Ham nazar tak chahte the tum tu jan tak aa gaye.

Naa-muraadi apni qismat gham rahi apnaa nissaab.
Kaarwaan ki khair ho ham kaarwaan tak aa gaye.

Unn ki palkoon par sitaarey apne hoontoon pe hansi.
Qissa-e-gham kehte kehte ham kahaan tak aa gaye.

Apni apni justujoo hay apnaa apnaa shouq hay.
Tum hansi tak bi na puhnche ham fughan tak aa gaye.

Rafta rafta rang laya jazba-e-khamoshi-e-Ishq.
Woh taghaful kartey kartey Imtihaan tak aa gaye.

Khud tumhain chak-e-garibaan ka sha'ur aa jayega.
Tum wahaan tak aa tu jaawo ham jahan tak aa gaye.

Aaj QABIL maikadey main Inqilaab Aaney ko hay.
Ahl-e-dil Andesha-e-sud-o-ziyaan tak aa gaye.

Duniya Ki Taraf Laut Ke Aanay Ke Nahin Hum

Duniya ki taraf laut ke aanay ke nahin hum
Sach baat yeh hai tere zamaane ke nahin hum

Awaaz mizaaji bhi tabiyat nahin apni
Wese to kisi thikaane ke nahin hum

Ik dard ki daulat hai jise banttay phiray
Maalik bhi kisi aur khazaane ke nahin hum

Tu ne to abhi khail ka aghaaz kiya
Kirdaaar abhi tere fasaane ke nahin hum

Kehte chale jaate hain kahani pe kahani
Is qaid se baahar kabhi jaane ke nahin hum

Shehzad dil o jaan pe jo guzri hai qayamat
Woh zakham kisi ko bhi dikhaane ke nahin hum

Wo Raha Dil Mein Magar Dil Ko Dukhane Ke Lliye

Wo raha dil mein magar dil ko dukhane ke liye.
Ham ko eik shakhs milla chorh kar jane ke liye.

Ham ne unn ko bhi tere hijer mein ro kar kata.
Wo jo do din the mile hansne hansane ke liye.

Bojh dhotaa rahaa mazdoor jo duniya bhar ka.
Chaar kandhey na miley uss ko uthane ke liye.

Dousti abb ke hawaawoon sey bhi rakhi jaaye.
Ye Zaroori hai charaaghoon ko jalaane ke liye.

Ye Tassali yeh dilasey mehez behlaawey hein.
Kon jaataa hai Bhalaa Lout kar aaney ke liye.

Ankhon Main Khuwab Rakhna Mumkin Nahi Raha Ab

Ankhon main khuwab rakhna mumkin nahi raha ab
Sach hai Mera Sambhalnaa mumkin nahi rahaa ab

Jaatey huwey thi uss ki aankhoon mein jo udaasi
Woh keh rahi thi millnaa Mumkin Nahee rahaa ab

Kiss ko kahein mohabbat kiss ko kahein fasaana
Yun aatebaar karnaa mumkeen nahee rahaa ab

Thi tark-e-talluq ki ab ibtadaa zaroori
Shaayed ke saath chalnaa mumkin nahi raha ab

Abb intezaar kyuon hai dil beqaaraar kyuon hay
Uss kaa to lowt aanaa mumkeen nahee raha ab

Hai her taraf andheiraa russ-waiyon ka dar hay
Ghar sey baahar nikalnaa mumkin nahi rahaa ab

Koi Ja Kar Zara Poochay Muhabbat Kaisi Hoti Hai

Koi Ja Kar Zara Poochay
Muhabbat Kaisi Hoti Hai

Muhabbat Kaisay Hoti Hai
To Shayed Yeh Batayein Woh
Muhabbat Rab Ka Tohfa Hai
Jo Qismat Say Hi Milta Hai

Muhabbat Jin Pay Warid Ho
Isharoon Say Batati Hai
Kabhhi Yeh Gudgudati Hai
Kabhi Pehroon Rulati Hai

Jo Aanso Dil Say Behtay Hain
Unhein Bas Dil Mein Rakhtay Hain
Chalaknay Bhi Nahin Detay
Go Aankhein Khoon'Fishaan Bhi Hoon
Muhabbat Muskurati Hai
Laboon Par Gul Khilati Hai

Aseeran-e-Muhabbat Ko
Rihayi Bhi Nahin Milti
Muhabbat Kay Aseeroon Ko
Yeh Chahat Hi Nahin Rehti
Jo Sarshar-e-Muhabbat Hoon
Unhein Kab Sojhta Hai Kuch

Bas Ik Chehra

Aur Us Kay Naam Ki Khushboo
Unhein Mehsoos Hoti Hai
Jisay Khud Mein Bisatay Hain
Yehi Ik Geet Gatay Hain
Hamari Khush-Naseebi Hai

Aseeran-e-Muhabbat Hain...

Haqiqaton Pe Hay Duniaa Ko Airtaaz Bohat

Haqiqaton pe hay duniaa ko airtaaz bohat
Ke hay mizaj-e-zamana fasana saaz bohat

Tera ghuror –e- ibadat tujhe na ly doobay
Suna hy parhta tha iblees bhi namaz bohat

Ye keh rahe the kal awargan-e-kucha-e-yaar
Adaaein aaj bhi hain uski dill-nawaz bohat

Unhein shaoor–e-mohabbat nahi khuda ki kasam
Jo loug hain teri mehfil mein sarfraaz bohat

Meri khushi ka zamaana hawa ka jhonka tha
Merey ghamoon ki rahi zindgai daraaz bohat

Yeh husn-o-ishq ka johar hay aur kuch bhi nahi
Wo khud-pasand bohat hain main be-niaz bohat

Sitaarey Tim Timatey Hain Tau Koi Yaad Aata Hay

sitaarey tim timatey hain tau koi yaad aata hay.
Nazare geet Gaatey hain tau koyi yaad aata hay.

usse aana nahi wapas magar pir bi ye hath apne.
Dua ko jab bi Utth-te hain tau koi yaad aata hay.

kabhi jugnu kabhi taare kabhi gunche kabhi badal.
hamaara dil jalaatey hain tau koyi yaad Aata hay.

boht koshish se bi ham us sitamgar ko nahi bhule.
kaheen bi dil lagate hain tau koyi yaad aata hay.

abhi rusto'n mai bikhri hai mehek pehli rafaqat ki.
kisi se milney jaate hain tau koyi yaad aata hay.

hamaari shaayri pe abb bhi usski hukmarani hay.
ghazal jab bi sunate hain tau koi yaad aata hay.

Aqeedat Our Hoti Hay Murrawat Our Hoti Hay

Aqeedat our hoti hay mur-rawat our hoti hay.
Muhabbat jis ko kehte hain wo nemat or hoti hay.

Qayamat khez manzar jo hazaro ham ne dekhe hain.
Jo dil pe toot thi hay wo qayamat our hoti hay.

Maheeno bad milne ki khoshi apni jagaah muhsin.
Wo zalim jab bicharrta hay tu haalat our hoti hay.

Toot Jaane Main Khilonoo'n Ki Taraah Hotaa Hay

Toot jaane main khilonoo'n ki taraah hotaa hay.
Aadmi ishq main bachoon ki taraah hotaa hay.

Is lie mujh ko pasand ata hai sehra ka sakoot.
Uss kaa nashaa tairi batoo'n ki tarah hota hay.

hum jise ishq mai dete hain khuda ka mansab.
Pehley pehley hamin logoo'n ki tarah hota hay.

Jiss say ban'naa ho taaluq wohi zaalim pehlay.
Ghair hotaa hai naa apnoo'n ki tarah hota hay.

Chandani ratoon mai sarkoon p qadm mat rakhna.
Sheher jagay howay naagoo'n ki tarah hota hay.

Bus yehi dekhne ko jagte hain tere shehar k log.
Aasmaan kab tairi aankhoo'n ki taraah hota hay.

Us se kehna k wo sawan main na ghar sai nikle.
Hafizaa ishq kaa saanpoo'n ki taraah hotaa hay.

Us ki Ankhoon mai umand aate hain Aanso Tabish
Woh judaa chaahney waloon ki tarah hota hai.

Jalnay Lagi Lahoo Main Judayee To Ro Diye.

Jalnay lagi lahoo main judayee to ro diye.
Tanhaaiyoon ne khaak uraaee to ro diye.

Chehre ne tera roag chupaya to hans diye.
Aankhoon ney teri yaad manai to ro diye.

Khushboo ne koi yaad dilaya tarap uthay.
Phooloon ney daastaan sunaee to ro diye.

Guzra hai hum pe khud yehi aalam iss liye.
Hansney lagi kissi pe khudaayi to roo diye.

Raas aa chuki thi teeigi-e-shab kuch is terha.
Ger shamaa bhi kisi ne jalaayi to roo diye.

Miley Baghair Bicharrna Bhi Uss Ki Aadat Thi

Miley baghair bicharrna bhi uss ki aadat thi.
Miley tu baat naa karna bhi us ki aadat thi.

Dilloon main phailta jata tha roshni ki tarah.
Utarte Rooh main rehna bhi us ki aadat thi.

Saddaye dil ko naa nok-e-zuban karna tha.
Chuppa ke pyar jattana bhi us ki aadat thi.

Wo meri dastras may rahe na rahe ban k khalish.
Dilloon ke taar hilaanaa bhi us ki aadat thi.

Friday 22 April 2016

Jane Wo Kon Si Gali Hogi

Jane wo kon si gali hogi
Jis me wo phool ki kali hogi

Ae saba mujh ko tu bata to zara
Tujh ko rahon me wo mili hogi

Ishq fitrt ka ek pahelu hai
Ayesi fitrt ki wo wali hogi

Aaj dil me khayale yaar aaya
Wo bhi is aag me jali hogi

Sun k meri khabar zamaane ko
Keya pata kaisi khalbali hogi

Usko faizan mil k keya krte
Kiya teri simt wo chali hogi

Koi Fariyad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise

Koi Fariyad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise.
Tune Aankhon Se Koi Baat Kahi Ho Jaise.

Jagte Jagte Ek Umr Kati Ho jaise.
Jan Baki Hai Magar Saans Ruki Ho Jaise.

Har Mulakat Pe Mehsos Yehi Hota Hai.
Mujh se Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise.

Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai.
Woh Nazar Chup k Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise.

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar.
Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise.

Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main.
Meri Har Saans Tere Naam Likhi Ho Jaise.

Hamari Kashti Ko Abhi Tak Koi Kinara Nahi Mila

hamari kashti ko abhi tak koi kinara nahi mila
kitni daur hai saahil koi ishara nahi mila

hamsafar ki talaash mein shaed zindagi guzar jaye
abhi tak kisi se muqaddar ka sitara nahi mila

apne chahanay walon se aisi be' rukhi achi nahi
eid sir pay aa gayi abhi tak card tumhara nahi mila

tumahray nam al bdl ki talaash jari hai
tum jaisa khara dost dobarah nahi mila

meri zindagi mein log atay rahay jatay rahay
tumhari terhan kisi se mizaaj hamara nahi mila

Wafa Isko Nahi Kehte

Wafa isko nahi kehte
Wafa kuch or hoti hai,
Mohbbat karne walo ki
Adaa kuch or hoti hai,
Tumhe dekha tumhe chaha
Tumhi se pyar kar bethe,
Suno pathar ke dil walo
Mohbbat aisi bhi hoti hai,
Main chahe ghum ka mara hu
Magar tumko na bhulun ga,
Ke deewano ke hotho pe
Dua kuch or hoti hai,
Tadap uthegi ye duniya
Ke royega jab dil mera,
Ke dil se fir jo nikalti hai,
Badua kuch or hoti hai...

Sunday 13 March 2016

Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta

Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta
Kisi bhi aine mein der tak chehra nahin rahta

Bade logon se milne mein hamesha fasila rakhna
Jahan darya samandar se mila darya nahin rahta

Hazaron sher mere so gaye kaghaz ki qabron mein
Ajab maan hun koi bachcha mera zinda nahin rahta

Mohabbat eik khushboo hai hamesha saath chalti hai
Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahin rahta

Tumhara shehr to bilkul naye andaz wala hai
Hamare shehr mein bhi koi hamsa nahin rahta

Monday 25 January 2016

Bno Jo Mohabat

Bno jo "MOHABAT" to phir sirf wfa ho jao.,
Bno jo "PYAAR" to phir fida ho jao,
Bno jo "DIL" to dharkan ki sda ho jao,
Bno jo "ZULF" to badal ki ghata ho jao,
Bno jo "KHOON" to rag rag me rawan ho jao,
Bno jo "DARD" to zakhmon ki dawa ho jao,
Bno jo "HAATH" to phr dast-e-dua ho jao,
Bno jo "HUSN" to phr pakiza haya ho jao,
Bno jo "JAAN" to phr jan-e-wafa ho jao,
Bno jo "MERY" to phr dunia se juda ho jao.

Sunday 15 March 2015

Suno Tum Miltay Raha Karo

Suno tum rooth jatay ho
Tu hum per kya guzarti hay
Na dil may chain hota hay
Na jeevan sath hota hay
Na koi phool kilta hay
Na hum se chand milta hay
Suno tum jab bhi miltay ho
Tu ajab sa chain milta hay
Tufan men aandhiyon may bhi
Wafa ka deep jalata hay
Baharin mehek uthti hain
Khizan raks karti hay
          ( Suno )
Tum miltay raha karo
Humain kuch aas milti hay
Khushiyon ki mala khilti hay
Sukoon-e-Qasl milta hay

*Suno tum miltay raha karo*

Thursday 12 March 2015

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha