Sunday 15 March 2015

Suno Tum Miltay Raha Karo

Suno tum rooth jatay ho
Tu hum per kya guzarti hay
Na dil may chain hota hay
Na jeevan sath hota hay
Na koi phool kilta hay
Na hum se chand milta hay
Suno tum jab bhi miltay ho
Tu ajab sa chain milta hay
Tufan men aandhiyon may bhi
Wafa ka deep jalata hay
Baharin mehek uthti hain
Khizan raks karti hay
          ( Suno )
Tum miltay raha karo
Humain kuch aas milti hay
Khushiyon ki mala khilti hay
Sukoon-e-Qasl milta hay

*Suno tum miltay raha karo*

Thursday 12 March 2015

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha

Wednesday 11 March 2015

Phir Kisi Yaad Ne Hai Raat Bhar Jgaya Mujh Ko

Phir kisi yaad ne hai raat bhar jgaya mujh ko
Kia saza di hai muhabbat ne khudaya mujh ko

Din ko araam hai na raat ko chain hai
Jane kis khak se hai qudrat ne bnaya mujh ko 

Dukh to ye hai zmane mein mile ghair sabhi
Jo mila hai wo mila ban ke praya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha mere roone ko
Ghar ki  dewaaro'n ne seene se lgaya mujh ko

Ab to umeed o wafa tum se nahi hai koi
Phir chraghoo'n ki tarrah kis ne jlaya mujh ko

Tuesday 10 March 2015

Tere ishq ki intaha chahta hun

Tere ishq ki intaha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun

Sitam ho ke ho wada-e-behijabi
Koi bat sabr-azma chahta hun

Ye jannat mubarak rahe zahidon ko
Ke main ap ka samna chahta hun

Koi dam ka mehman hun ay ahl-e-mahfil
Chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun

Bhari bazm mein raz ki bat kah di
Bara be-adab hun, sazah chahta hun

Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye

Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Dard Kaisa B Ho Bandagi Chahiye

Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye

Tere He Aage Haath Phelaon
Ab Aesi ALLAH Mujhe Bebasi Chahiye

Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main
Mere Malik Aagahi Chahiye

Main Jhukun Or Jhukun Bus Jhuka He Rahun
Ibbadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye

Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye

Gham e Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Gham e Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chalay Aao K Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Koi Azal Se Keh Do K Ruk Jaye Do Ghari
Suna Hai Aanay Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Woh Is Naaz Se Baithay Hain Lash K Paas
Jaisay Roothay Huway Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jaye Phir Sans Nabzon Mein
Itnay Haseen Hathon Se Maiyat Saja Raha Hai Koi